"Main nai zindagi k barai main buhat socha or phir main aik nahin buhat sai results per puhnci or is ko nazam ki sorat main qalam band kia"


Zindagi !

Zindagi aik dhoka hai
sarab hai
baiwafa sathi hai janai kis waqt dhoka dai jai
zindagi moot ki aamanat hai
amanat bhi aisi hai jis main khayanat nahin ki ja sakti
zindagi zakhmoon ki khai hai jis main har aik ko girna hai
zindagi baiwafai ka nam hai
jo dushman or dost main koi farq nahin karti
zindagi mohabbat ka nam hai
jo her roop main milti hai
jis sai her aik ko jeeta ja sakta hai
zindagi ebadat hai
jo khuda k liye uss ki makhloq karti hai
jis sai moot aasan ho jati hai
zindagi ki her tar hae rishta
moot sai juda hai
zindagi ka ikhtatam moot par hota hai
zindagi ka her qadam
her rasta
her manzil
moot ki taraf jati hai
bus yehi zindagi hai !


from:
Seher Sagheer




Poetry by seher sagheer
Read 627 times
Written on 2006-09-15 at 18:42

Tags Yadain 

dott Save as a bookmark (requires login)
dott Write a comment (requires login)
dott Send as email (requires login)
dott Print text