yeh aik chhoti si nazam hai lkin mujhai buhat pasandhai kuonki muhabbat main sodai bazi nahin hoti jab aik maan apnai bachhai saii muhabbat karti hai to woh koi dhikhawa nahin hota muhabbat muhabbat hoti hai.


Muhabbat

Aaj tum nai yeh iqrar kia
K tumhain mujh sai muhabbat hai
Sath main yeh bhi kaha
k daikho!
Tum sanjeeda matt hona
To tymhari nazar main muhabbat
kya koi khail hai ya koi mazak hai
shayad tum isai mazak samajhtai ho
ya koi kahani
jis ko bus parhnai main interest hota hai
tumhain shayad mujh sai muhabbat na ho
lkin mujhai tum sai muhabbat hai
bilkul sachhi muhabbat




Poetry by seher sagheer
Read 978 times
Written on 2006-12-07 at 15:44

dott Save as a bookmark (requires login)
dott Write a comment (requires login)
dott Send as email (requires login)
dott Print text


Zoya Zaidi
Faiz Ahmad Faiz ka ek shair hai:
"Apni takmeel kar rahaa hoon main/
Warnaa mujh ko to tum se pyar nahin"
Faiz Ahmad Faiz
Tum ko faiz pasand hai?
Waise Roman mainUrdu ki Nazm chapne ka idea bura nahin hai! lol!
Welcome to the bay!
Sorry to have missed you earlier, dear Seher.
Seher means morning, isn't lit?
(((Hugs)))
Love Zoya
2006-12-07